Thak gaye ho har trip pe paise uda ke? Ab khud ka travel booking app banao aur har booking pe kamao, bilkul MakeMyTrip jaise! Episode dekho abhi, bina coding jaane bhi start kar sakte ho!
6 mahine ki mehnat ke baad coding seekhi, par ChatGPT sab kuch kar raha hai – kya ab job milegi? Iss Episode me jaanoge kya AI coders ko replace karega ya unki value aur badha dega. Watch till the end and comment – kya aapko lagta hai coding ka future safe hai ya nahi?
Website hacked ho gayi? Data leak kaise hota hai, hackers ghuste kaise hain, aur aap apna data kaise secure rakh sakte ho—sab kuch bataya hai is video me. Cybersecurity basics samjho before it’s too late. Episode pura dekho aur comment karo – kya tumhara data hack hua hai?
Bina driver ke car kaise chalti hai? Self-driving cars na sirf dekh sakti hain, balki soch bhi sakti hain! Pura episode dekho aur comment karke batao – kya tum AI wali car me baithoge?
1 rupaye me iPhone mila? Nahi bhai, ye scam hai! UPI ka system kaise kaam karta hai aur kaise safe rehna hai, sab bataya hai is episode me. Pura video dekho aur comment me likho – kya tum bhi kabhi UPI fraud ke shikar hue ho?
Coding Seekhne Ke Baad Job Pane Ke 4 Asli Steps 2-3 real projects banao jaise to-do app ya portfolio site. Apne projects GitHub pe upload karo taaki recruiter dekh sake. LinkedIn profile strong banao aur ChatGPT se headline likhwalo. Internshala, Naukri, LinkedIn jaise portals pe smartly apply karo. Aapne konse projects banaye? Comment karo aur episode share kardo doston ke saath!
Aap daily websites use karte ho, par kabhi socha hai ye kaise kaam karti hain? Server, frontend, backend – sab kuch samajhna hai bina coding seekhe? Yeh episode pura dekhlo, half knowledge dangerous hoti hai!
Agar apps update nahi kiye, to sirf slow phone hi nahi, pura bank account bhi empty ho sakta hai. Is episode me samjho kaise app update aapki security ke liye essential hai, aur kaise ek chhoti si setting aapko hacker se bacha sakti hai.
Kabhi socha hai aisi programming languages ke baare mein jo itni confusing hain ki samajhne se pehle aap jail jaana pasand karenge? Jaise INTERCAL, jisme code run karne ke liye 'PLEASE' likhna padta hai, ya Malbolge, jo itni complex hai ki iska pehla 'Hello, World!' program likhne mein do saal lag gaye. Aur LOLCODE, jo memes ki bhasha mein likhi jaati hai. In languages ke peeche ki kahani jaanne ke liye episode dekhein!
Coding sirf keyboard pe type karna nahi hota, balki problems ka solution banana hota hai! Agar aap bhi coding ko sirf typing samajhte the, toh yeh episode aapki soch badal dega.